SMSJOKES

       SMS Jokes & Text Messages

Ghazal SMS

Yaad karna hai jise usko bhoola rakh hai.

Zinda khawabon ko B aankhon may sula rakha hai.
Yaad karna hai jise usko bhoola rakh hai.
Apne dil ki kahen kis se k ye diwana hai.
Khud to hansta hai magar Hum ko rula rakha hai.
Yaad uski B hawa hi se bandhi hai shayed.
Aik jhoola sa Hamein jis ne jhula rakha hai.
Kya karen Hum ko to takhliq se fursat hi nahi.
Apni majburi k dushman ko khula rakha hai.
" Saad" Kuch B to nahi apni haqiqat lekin.
Ek gubaare ki tarah dil ko phula rakha hai.
 

Mar mitta hoon khayal par apne

Mar mitta hoon khayal par apne.
Wajd aata hai haal par apne.
Abhi mat dijiyon jawab k Mein.
Jhoom to loon sawal par apne.
Umar bhar apni aarzu ki hai.
Mar na jaon visaal par apne.
Ek ata hai Meri hawas nigahi.
Naz kar khad-o-khaal par apne.
Jane is dam wo kis ka mumkin ho.
Bais mat kar'Muhaal par apne.
Tu B aakhir kamal ko poncha.
Mast hoon Mein'Zawal par apne.
Bas yunhi Mera gaal rakhne de.
Meri jaan! Aaj gaal par apne.
 

Ab Teri Yaad Se Wehshat Nhi Hoti Mujh Ko

Ab Teri Yaad Se Wehshat Nhi Hoti Mujh Ko,

Zakham Khultey Hain,Ab Aziyat Nhi Hoti Mujh Ko,

Ab Koie Aaye,Chala Jaye,Main Khush Rehta Hoon,

Ab Kisi Shakhs Ki Aadat Nhi Hoti Mujh Ko,

Aisa Bdla Hoon Tere Sheher Ka Paani P Kr,

Jhoot Boloon To Nidaamat Nhi Hoti Mujh Ko,

Hay Amaanat Main Khyaanat So Kisi Ki Khatir,

Koi Mrta Hay To Hairat Nhi Hoti Mujh Ko,

Itna Msroof Hoon Jeenay Ki Hawas Main A Dost,

Saans Leney Ki B Fursat Nhi Hoti Mujh Ko..
 

Teri yaad Meri kitaab ho naye saal may

Teri yaad Meri kitaab ho naye saal may.
Koi zakham phir se gulab ho naye saal may.
Kaei barg-e-sabz B zard patton may urh gaye.
Gaye musamon ka hisaab ho naye saal may.
Mein gubaar ban k khalaon may kahen ja chupon.
Meri yun na matti kharaab ho naye saal may.
Kisi be nawa ki nawa sune koi hukhumraan.
Kabi ye B kaar-e-sawab ho naye saal may.
Koi abar aa k baras parhe Meri aankh se.
Kisi qehet ka na azzab ho naye saal may.
Mein na jee sakoon ga haqiqaton k hisaar may.
Wahi khawab ho wahi khawab ho naye saal may.
Zara "Baqi" Shah faqir pe B ho ek nazar.
Zara uska dil B gulab ho naye saal may.
 

Dil ko virana kaho gaye,Mujhe malum na tha

Dil ko virana kaho gaye,Mujhe malum na tha.
Phir B dil hi may raho gay,Mujhe malum na tha.
Sath duniya ka Mein chorhdon ga tumhari khaatir.
Or tum sath na ho gay,Mujhe malum na tha.
Chup jo hoon,Koi buri baat hai Mere dil may.
Tum B ye baat kaho gay,Mujhe malum na tha.
Log rote hain Meri bad nazri ka rona.
Tum B is ro may baho gay,Mujhe malum na tha.
Tum to be sabar thay aagaaz-e-mohabbat may "Hafeez"
Is qadar jabar saho gay,Mujhe malum na tha.
 
Page 9 of 35

Latest SMS

Feed

Subscribe for daily SMS in your Mail Box

Enter your email address:

Ads