SMSJOKES

       SMS Jokes & Text Messages

Muharram SMS In Honour Of Hazrat Hussain

Janat Ki Aarzu Main Kahan Ja Rahe Hyn Log

Janat Ki Aarzu Main
Kahan Ja Rahe Hyn Log

Janat Tou Karbala Main
Khareedi HUSSAIN Ny

Dunya-o-Aakhrat Main
Jo Rehna Ho Chain Sy

Jeena ALI Sy Seekho
Marna HUSSAIN Sy
 

 

Jab Bhi Kabhi Zameer Ka Sauda Ho Dosto'n

Jab Bhi Kabhi Zameer
Ka Sauda Ho Dosto'n

Qayam Raho HUSSAIN
K Inkaar Ki Terha !!!
 

 

Aey Karbala k qasr ki mai'maar as'salam.

Aey Karbala k qasr ki mai'maar as'salam....

Aey jur'aton ki aahani deewar as'salam....

Ghurbat may Shahzadi-e Mukhtar as'salam....

Aey ghaaza-e-rukh-e-Shah-e-abraar as'salam....

Jo rang charh chuka tha utarnay nahi diya....

Tu nay kisi Shaheed ko mernay nahi diya.

 

Khoon Se Charagh-e-deen jalaya Hussain ne

Khoon Se Charagh-e-deen jalaya Hussain ne,,
Rasm-e-Wafa ko khoob nibhaya Hussain ne..
Khud ko to ek boond bhi Pani na mil saka,,
Karb-O-Bala Ko khoon pilaya Hussain ne..
Aesi Namaz kaon parhega Jahan men?
Sajda kiya to Sar Na uthaya Hussain ne.!
Sab kuch Khuda ki raah men Qurban kar diya,
Asghar sa phool bhi na bachaya Hussain ne..

 

ALI se bughz b aur SHOQ-E-JANNAT b

ALI se bughz b aur SHOQ-E-JANNAT b?

IBADATON  ka b koi asool hota hai.

Tu ALI ki jaye WILADAT se inkar to kar.
Dekhoon tera HAJ kaisay QABOOL hota he.
 

NIJAT ki jab appeal karna,

¤ NIJAT ki jab appeal karna,

¤ HUSSAIN * apna wakeel karna,

¤ Agar Sar kay badle * HUSSAIN * mile,

¤ To ZINDAGI na taveel karna.
 

Yun Hi Nahi Jahan Main

Yun Hi Nahi Jahan Main
Charcha HUSSAIN Ka

Kuch Dekh K Hua Tha
Zamana HUSSAIN Ka

Sar De k Do Jahan Ki
Hukumat Khareed Li

Mehanga Para yazeed Ko
Sauda HUSSAIN Ka ...

 
  • «
  •  Start 
  •  Prev 
  •  1 
  •  2 
  •  3 
  •  4 
  •  5 
  •  6 
  •  7 
  •  8 
  •  9 
  •  10 
  •  Next 
  •  End 
  • »
Page 1 of 23

Latest SMS

Ads

Feed

Subscribe for daily SMS in your Mail Box

Enter your email address: