Ali(a.s) ke dar pe jo aata hay wo jaata nahain khali. Ke is dar se hi hoti hay sab hi ki door bad hali. Ali (a.s) pyar kitna hay meray Allah ko dekho. Ali (a.s) ke dushmano ko dekh ke dozakh bana dali.
Jis Ne Aal e Nabi Ko Sataya Jis Ne Bint E Nabi Ko Rulaaya Bil Yaqeen Bad Nasab Hai WO Insan Jis Ne Qaul e Nabi ko Bhulaya Noor Ko Noor Mana Na Jisne Ta Qayamat Wo Andha Rahega
is ne Mun Mora Mushkil Kusha Se Door Hogaya Phir WO Khuda se Jis Ki Wabastagi Hi Nahi Hai Ab Bhi Darwaaza e Sayyida Se Dehr Me Darbadar, Zindagi Bhar Thokerain Yuhin Khata Rahega
Tamanah yeh mere ta umar-e- zindagi rahe gi Her namaz main bas yehi dua Allah kay guzar rahe gi Shamil mujhe karley MOla apni foj main Phir dekhna kis Munkir-e-Ali(A.S) ki garden dhar per rahe gi
Apnay Dukhoon mein aya jo SHAHBIR(A.S) ka khayal Shikwa tarap ke shukar mein tabdeel hogaya Har ghum mein KARBALA ne sahara diya humay Har ghum GHUM e HUSAIN(A.S) mein tehleel ho gaya
Abbas(as) Tajdaar-e-Wafa Arjumand hain Aisay Khuda pasand khudi ko pasand hain Panjay Alam pay nasb hain Dunya yeh dekh lay Ghazi k Haath kat k bhi kitnay buland hain.
Mola ke malangon ki taqdeer hay Jannat!!!!
Hasnain Shareefain ki jageer hay Jannat!!!!
Jannat ki zarorat ho jisay mangay Dua woh!!!!
Mere liye har Majlis-E-Shabbir hay Jannat!!!!
|