Durood Zinda Hai Apna Salam Zinda Hai Khuda K Saath Mohammad(SAWW)Ka Naam Zinda Hai Tumhara To Koi Murda Bhi Ab Nahi Koi Humein Hai Fakher K Humara Imam(A.S)Zinda Hai.
jo Na Pekar-e-Mawaddat Mein Dhaley Ga Taa-Abad Aatish-e-Dozakh Mein Jaley Ga Rakh Jeib Mein Ishq-e-Ali Ka Zar-e-Khalis Sikka Yehi Bazar-e-Qayamat Mein Chaley Ga
Marhab-e-waqt ko jiss teer say dar lagta hai Run mei us teer ko baysheer(a.s) say dar lagta hai Pay-e-Abid(a.s) mei pehnayee thee jinhon nay zanjeer Unki aulad ko zanjeer say dar lagta hai
Mariyam se bhi Batool ko rutba siwa mila Baba ussey Rasool sa khair ul wara mila Baita her ik shaheed-e-rah-e-kibriya mila Shauher mila tou khalq ka mushkil kusha mila her aik apnay mertabay mein intekhaab hai Zehra hain bemisaal Ali lajawaab hai
Na Janay Khoobsorat kis Qadar THA WOH ALI ZADA(A.S) Farishtay Deakhny Aatay thay US AHSAN NAMAZI (A.S) KO jahan pe QASIM O AKBAR , SAJJAD JESE THAY Wahan QAMR e BANI HASHIM Kaha Jata tha GHAZI (A.S) ko.
Farzand-e-Ali Imam Hussain a.s. Ne Fermaya.
Aisay Shakhs Per Zulm Keray Say Muhtat Reho Jiss Ka ALLAH K Siwa Koe Na Ho.
Hasan(AS) hai naam Konain ka Dulara hai Khudaee aik taraf yeh khuda ka pyara hai Ali(AS) ka noor-e-nazar Syeda(SA) ka lakht-e-jigar Nabi(SAWW) ki aankhon ka pehla haseen tara hai
|