Hota kese unko gham humari Tanhai ka
Jab farq para hi nahi unko humari Judai ka
Khamoshi se saha hum ne jab har gham
To ilzam Laga dia hum par Bewafai ka
Abi to main tmhre liye kuch nahi,
Ye din guzr jaen ge,
Ye musam Badal jaen ge,
Waqt to guzar hi jata hai,
Tmhra b mera B,
Lekin...
1 din kisi lamhe tmhe meri yaad aaye gi,
To Tum Be-ikhtiyar muskura do ge,
Log pochain ge kya howa,
Aur
Tum kaho ge,
Gham is kadar barhey ke mein ghabra ke pee gaya,
Is dil ki be-basi pe tarss kha ke pee gaya,
Thukra raha tha mujh ko bari der se jahan,
Main aaj sab jahan ko thukraa ke pee gaya.