SMSJOKES

       SMS Jokes & Text Messages

Sad SMS

Jab ma dooba

Jab ma dooba to samandar ko bi herat hoi,
Ajeeb shaks hai kisi ko pukarta hi nai …… !!!!

 

Saja k rakhna

 

Tum apni aankhon main ghum k budlay shararton ko saja k rakhna
Kabhi jo aansoo nikal parain tau anna ke khhatir chhupa k rakhna

Na dil dukhana kabhi tum apna udaas raaton ke chaandni saiy
Sambhal rakhna tum apni saansain udasiyun ko mita k rakhna

Kehin ye furqat ke seeyah raatain tumharay ghar main na phail jaaien
Jo bujh gaaiy hain charagh saray unhi ko phir saiy jala k rakhna

Na apnay aanchal k sub rungoan ko safaid karna seeyah karna
Abhi tau jeewan ke rut jawan hay osi ko dil main basa k rakhna

Ajab nehi hay jo kal na budlay isi jahan main naseeb tera
Khushi k lumhon ke ass rakhna khushi saiy chehra saja k rakhna

Jahan main phirtay hain hum akailay tumhi naiy khoya nehi kisi ko
Tum apni halat ka khayal rakhna ore gaisoowon ko bana k rakhna

Na aana baaton main dushmano ke jo hogaya hay wo hogaya hay
Bas sooch apni blund rakhna nigahain apni jhoka k rakhna

Abhi saiy shaukat chhalak raha hay ghumon saiy paimana kyun tumhara
Wo teri soochon main gar hay shamil tujhay hay oska khayal rakhna

 

Wo aik khat

 

Wo aik khat jo tu ne kabhi likha hee nahi,
Main roz beth k uss ka jawab likhta hoon….

 

Tere baghair

Tere baghair jee to raha hoon magar ye dil,
Sehra ki chandni ki tarha sogwar hai…

 

Ruthi Si Zindagi

Ruthi Si Zindagi ko Manana To Aata Hai,
Logon ko Hasana To Aata Hai,
Kya Hua Jo Na Bas Sake Kisi Ke Dil Mein,
Logon Ko Apne Dil Mein Basana To Aata Hai.

 

Ab yoon dil ko saza di hm ny

Ab yoon dil ko saza di hm ny

Uski hr baat bhula di hm ny

Aaj phr boht roya ye dil uski yaad mai

Shaakh,e,gul jb jala di hm ny

Aaj phr yaad aya wo shakhs

Aaj phr usko dua di hm ny

Koi to baat hy us mai

Hr khoshi jis pe luta di hm ny.

 
Page 3 of 28

Latest SMS

Feed

Subscribe for daily SMS in your Mail Box

Enter your email address:

Ads